Posted on 01 August 2010. Tags: Ramadaan, Ramdan, Ramdhan, ramzan, Shab E Qadr
Ramzan Hai Allah ki qurbat ka mahina
Jismani o rohani ibadat ka mahina.
Ramzan, Ramzan, Ramadan, Ramdan, Ramdhan
Ramzan hai Islam ki azmat ki nishani
Ramzan hai Allah ki qurbat ki nishani
Rozay ka silah deta hai khud Khaliq e Akbar
Sa’im kay liye roza hai jannat ki nishani
Ramadan Hai Allah ki qurbat ka mahena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.
Ho jata hai Shitan bhi paband e salasil
Hai jurm o khata say yeh bara’at ki nishani
Ik khas sila milta hai har achay amal ka
Yeh mah hai Rehman ki rehmat ki nishani.
Ramadan Hai Allah ki qurbat ka maheena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.
Ik raat kay hai barah mahinoon say bhi afzal
Yani hai Shab e Qadr bhi azmat ki nishani
Ho jati hai paida dil e Muslim mein akhuwat
Ramzan to hai mehr o muhabbat ki nishani.
Ramzan Hai Allah ki qurbat ka maheena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.
Posted in Lyrics
Posted on 08 July 2010. Tags: Shab E Miraj
Miraj ki shab to yaa rakh (Naat)

Posted in Urdu Naats
Posted on 26 June 2010. Tags: Naat, Urdu Naat
Posted in Urdu Naats
Posted on 05 June 2010. Tags: Hazrat Baba Farid, Pathanay Khan
Meda Ishq Vi Toon Meda Yaar Vi Toon
Meda Deen Vi Toon Eeman Vi Toon
Meda Jism Vi Toon Meda Rooh Vi Toon
Meda Qalb Vi Toon Jind Jaan Vi Toon
Meda Kaba Qibla Masjid Mimbar
Mushaf Te Quran Vi Toon
Mede Farz Fareezay, Hajj, Zakataan
Soum Salaat Azaan Vi Toon
Meri Zohd Ibadat Ta’at Taqwa
Ilm Vi Toon Irfan Vi Toon
Read More
Posted in Lyrics
Posted on 31 May 2010.
Shah-e-Madeena suno ilteja Khuda ke liye
Karam ho mujh pe Habeeb-e-Khuda Khuda ke liye
Huzoor ghuncha-e-ummeed ab to khil jaaye
Tumhaare dar ka gadaa hoon to bheek mil jaaye
Bhar do jholi meri ya Muhammad
Lautkar main na jaaunga khaali
Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata
Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena
Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi
Bekason ke madadgaar ho ya nabi
Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho
Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena
Read More
Posted in Lyrics
Posted on 31 May 2010.
pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se
her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se
bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-nabi se
Read More
Posted in Lyrics
Posted on 31 May 2010.
Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he
Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn rab kay aagay sajda karna kesa he
Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he
Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he
Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he
Posted in Lyrics
Posted on 31 May 2010.
Noor Wala Aya Hai
Noor Lay kar Aya Hai
Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai
Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH
Jab Talak Yah Chand Tara Jheel Meelata Jayanga
Tab Talak Jasna Wiladat Hum Manata Jayanga
Noor Wala Aya Hai
Noor Lay kar Aya Hai
Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai
Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH
Read More
Posted in Lyrics
Posted on 31 May 2010.
Ya Nabi Salaam Alaika,
Ya Rasul Salaam Alaika,
Ya Habib Salaam Alaika,
Salawatullaah Alaika.
Jashn-e-Milad un nabi hay,
Noor ki chaadar tani hay,
Roshani hi roshani hay,
Har taraf yay doom machi hay.
Ya Nabi Salaam Alaika,
Ya Rasul Salaam Alaika,
Ya Habib Salaam Alaika,
Salawatullaah Alaika.
Ya habeeb-e-rab-e-daawar,
Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar,
Aur Umar Usmaan O Haydar,
Chashmay baytar Do qalb-e-uzz par.
Read More
Posted in Lyrics
Posted on 31 May 2010.
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih – Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih
An Nabi Ya Halireen – Iilamoo Ilmal Yaqeen – Anna Rabbal Aalameen Wa Rala Salla Alaih
An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih – Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
Kaabe Ke Badrud Duja – Thum Pe Karodon Durood
Tayba Ke Shamsud Duha – Thum Pe Karodon Durood
Shafiye Roze Jaza – Thum Pe Karodon Durood – Dafiye Jumla Bala Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
Read More
Posted in Lyrics
Recent Comments