Archive | Urdu Naats

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon

Hoor-o-gilmaan ki poori hoii arzoo

Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam

Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh

Phir khuda ne khaha mere mahboob tum

Ho rasuloon ke rasool Allahi Allah

Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah

Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Read More

Posted in Lyrics

Amina Ka laal Aaya

Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Agaya woh noor wala, jis ki uchi shaan hai,
jis ki midhat main hi utara ye saara Quran hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Ho bayan kaise fazeelat Amina ke chand se,
Us ki to har har ada par bolta Quran hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Jo kaha mere nabi ne woh hamesha sach howa,
ho bahoo tasleem karta aaj sciencedaan hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Amina tuj ko mubarak tere ghar jalwa figan,
Aaj woh mah he risalat nabiyun ka sultan hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Posted in Lyrics

Ya Nabi ham guna hagaaron ko

Ya Nabi  ham guna hagaaron ko

dard-e-furqat sey ab jila deyna

Ummati hein tumharey Shah-e-Umum

sabz gunbad hamein dikha deyna

Khaak-e-Taibah miley lahad key liye

kaali kamli miley kafan key liye

Waastah Aap  key nawaason ka

eysee qismat meri bana deyna

Duur reh kar tumhari chowkat sey

ashk ankhon sey behtey rehtey hein

Aas ham bhi lagaey beythey hein

dil ki pyaas ab meri bujha deyna

Aap Nabiyon mey sab sey ‘alaa hein

khatam ik Aap  par nabuwat hai

Ham faqeeron ko Ya Rasulullah

apni chowkat kaa aasra deyna

Laaj rakhna Shah-e-zaman

meri iltija hai yeh qalb-e-Ishrat ki

Meri hasti ko Khaak-e-Taibah mein

Ya Rasulullah  Khuda mila deyna.

Posted in Lyrics

AYE SABA MUSTHAFA SE KEH DENA

AYE SABA MUSTHAFA SE KEH DENA
GHAM KE MAREN SALAM KEHTHE HAIN
YAAD KARTHE HAIN TUM KO SHAM SAHAR
BE SAHARE SALAM KEHTE HAIN

1) ALLAH ALLAH HUZOOR KEE BATEN
MARHABA RANG NOOR KI BATEN
CHAND JINKI BALAYEEN LEYTHA HAI
AUR TARE(N) SALAM KEHTE HAIN

2) ZAIRE KABATHUN MADEENE MEN
MERA AQASE ITNA KEH DENA
KAMLI WALE RASOOL SUNLIJE
GHUM KE MAREN SALAM KEHTHE HAIN

3) ZIKR THA AKHIRI MAHINE KA
TAZKIRA CHILE DAYA MADINE KA
HAJION MUSTAFA SE KEHDENA
BE SAHARE SALAM KEHTHE HAIN

4) EH PHAYAMI MERE QASAM HAI TUJHE
ARZU KARNA ……….. RASOOLE AKRAM SE
QALBE MUTHRIB KI HAI HUZOOR TADAI
AUR TAREY SALAM KEHTHE HAIN

Posted in Lyrics

Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main

Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main

Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main

Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey

Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main

Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah

Kadi toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main
Read More

Posted in Lyrics

Amina bibi keh gulshan main

Amina bibi keh gulshan main, aa’i hai thaza bahaar

Parthay hai Sallallahu wasallam, aaj dar-o-deewar

Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Baarah Rabbi ul awwal ko, aayah duur-e-yateem

Maah-e-nabuwwat mehr-e-risalat, saahib-e-khulq-e-azeem

Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Allah Allah Allahu, la illaha illahu
Read More

Posted in Lyrics

Aaye Shah-e-Konain Aaye

Aaye Shah-e-Konain Aaye
Phel Gaye Rehmat Ke Saaye
Aaye Shah-e-Konain Aaye
Aaye Shah-e-Konain Aaye

Bhejo Durood-O-Salaam Ke Tuhfay
Naghma-e-Naat-e-Rasool Sunao
Arsh-e-Bareen Se Farsh-e-Zameen Tak
Khushboo Bun Kar Aaye
Aaye Shah-e-Konain Aaye
Read More

Posted in Lyrics

Ab Meri Nigahon Mein

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi

Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi

Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi

Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi

Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj

Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi

Hota Hai Jaha Zikr Muhammad Kay Karam Ka

Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi

Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zameen Ko

Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi

Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza

Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi

Posted in Lyrics

Lab Pe Naat-e-Pak Ka Naghma

Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Mere Nabi Se Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Aur Kissi Jaanib Kyun Jayein Aur Kissi Ko Kyun Dekhein
Apna Sab Kuch Gumbad-e-Khizra Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Pust Woh Kaisay Ho Sakta Hai Jiss Ko Haq Ne Buland Kiya
Dono Jahan Mein Unka Charcha Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

Jiss Ke Fayz Se Bunjar Seeno Ne Shadabi Payi Hai
Mauj Mein Woh Rehmat Ka Darya Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Read More

Posted in Lyrics

Sabse Aula O Ala Hamara Nabi

Sabse Aula O A’la Hamara Nabi
Sabse Bala O Wala Hamara Nabi

Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha Hamara Nabi

Bazm-e-Aakhir Ka Shammay Farouzan Hua
Noor-e-Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi

Bujh Gayein Jiskay Aagay Sabhi Mash’lein
Shamma Woh Lekar Aaya Hamara Nabi

Jiskay Talwon Ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat
Hai Woh Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi
Read More

Posted in Lyrics

Page 3 of 512345

Email Subscription

Get website updates by email. Fill in the form below with your email address:

Message

Pegham Hazrat Sakhi Sultan Baba Jani Sarkar Allah Walay

Ziker-e-Allah

Mehfil Melad Mustafa S.A.W

Gallery

muslims-pilgrims-walk-near-meeca allah-ka-ziker mehfil-pictures-2 Array hadees_abt_namaz 01-abu-bakar-siddiq-ra_0021 37 hazrat-baba-jani-sarkar-allah-walay 24 image001