Archive | Urdu Naats

Jissay Mil Gaya Kamli Wale Ka Daman- Lyrics

Jissay Mil Gayaa , Kami Waale Ka Daaman,
Ussay Do Jahaan ka, khazaana Milaa Hay.

Balaa Baag-e-Jannat Ko, Wo kyaa karay ga,
Madina may jis ko, tikaana millaa hay.

Kissi Ko zamaane ki dolat milli hay,
Kissi Ko Kissi ko jahaan ki hukumat milli hay,
May apnay muqaddar, pay qurbaan jaaoon,
Mujhay yaar-e-ka Aastaana millaa hay.

Namaaze Pare Jaa, Azaanay Diyay ja,
shabo rawz-e-sajdon pay, Sajday Kiyay ja,
Namaaze Ussi Ki, Azaan-e-ussi ki,
Jissay panjtan ka, garaana millaa hay.

Jissay mil gaee un, kay dar ki gadaaee,
Ussay dolat-e-do, jahaan haath aa ee,
Dar-e-mustafa tak, hay jis ki rasaaee,
Shafaa-at ka uss ko bahaana millaa hay.

Zahoori kalam ki , yay hee aabroo hay,
Kay zikr-e-Muhammad say, yay sur-khuroo hay,
Muhammad ka rawza, Meray rubaroo hay,
Durood-o-ka mujh ko taraana millaa hay

Jissay Mil Gayaa , Kami Waale Ka Daaman,
Ussay Do Jahaan ka, khazaana Milaa Hay.

Posted in Lyrics

Ho Karam Sarkaar- Lyrics

Ho Karam Sarkaar

Ho Karam Sarkar Ab to Ho Gayee Gham Beshumar
Jaan-o-dil Tum Per Fida Aey Do Jahan K Tajdaar

Mein Akaila Aur Masayil Zindagi K Beshumar
Aap Hi Kuch Kijyee Na Aey Shahe Aali Waqar

Yaad Aata Hei Tawafe Khana-e-kaaba Mujhey
Aur Lipatna Multazam Se Walihana Baar Baar

Sang-e-aswad Choom Kar Milta Mujhey Kaif-o-suroor
Chain Paata Daikh Kar Dil Mustajab-o-mustajab

Yaa Khuda Dikhla Hateem-e-pak Meezab-o-maqam
Aur Safa Marwa Mujhey Behr-e-rasool-e-zee Waqar

Jaa Raha Hei Qafla Taiba Nagar Rota Hua
Mein Raha Jaata Hoon Tanha Aey Habib-e-kirdgaar

Jald Phir Tum Lo Bula Aur Sabz Gumbad Do Dikha
Hazri Ki Arzoo Ney Kar Diya Phir Be Qarar

Choom Kar Khaak-e-madina Jhoomta Phirta Tha Mein
Yaad Aatey Hein Mujhey Madiney K Lail-o-nahar

Gumbad-e-khizra K Jalwey Aur Wo Iftariyaan
Yaad Aati Hien Bohat Ramzan-e-taiba Ki Bahar

Yaa Rasool Allah! Sun Lijyee Meri Faryaad Ko
Kon Hei Jo K Suney Tere Siwa Meri Pukaar

Haal Per Mere Karam Ki Ik Nazar Farmayee
Dil Mera Ghamgeen Hei Aey Ghamzadoon K Ghamgusaar

Qafley Walo Suno Yaad Ayee to Mera Salam
Arz Karna Rotey Rotey Ho Sakey to Baar Baar

Ghamzada Yoon Na Hua Hota Ubaid-e-Qadri
Is Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gumbad Ki Bahar

Posted in Lyrics

Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai- Lyrics

Nasheed / Naat: Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai

The Main Lines To Be Repeated By The Naat Khwaan Are As Follows:
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

1. Woh Shamme Haram Jis Se, Munawwar Hai Madinah
2. Kaa’bey Ki Qasam Ronaqe, Kaa’bah Bhi Wohi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

3. Us Shahr Mein Bik Jate Hain, Khud Aake Kharidar
4. Yeh Misr Ka Bazaar Nahin, Shahre Nabi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

5. Nazaron Ko Jhukae Huey, Khamosh Guzar Jao
6. Betaab Nigahi Bhi Yahan, Be Adabi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

7. Is Arze Muqaddas Pe, Zara Dekh Ke Chalna
8. Aey Qafile Walon Yeh, Madiney Ki Gali Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

9. Haqq Iska Ada Sirf, Jabinon Se Na Hoga
10. Aey Sajda Guzaro Yeh, Dare Mustafawi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

11. Iqbal Mayn Kis Munh Se, Karun Madhey Muhammad
12. Munh Mera Bohat Chota Hai, Aur Baat Bari Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

Meanings:
Line 7: Arze Muqaddas = Paak Zamin

Posted in Lyrics

Hai Labon Par Duroodo Salaam- Lyrics

The Main Lines To Be Repeated By The Naat Khwaan Are As Follows:
Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

1. Ya Shahe Behro Bar Ho Karam Ki Nazar
2. Dar Pe Hazir Hua Hai Ghulam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

3. Behre Gham Mein Phansa Hun Bacha Lijiye
4. Aai Ye Meri Mushkil Mein Kaam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

5. Ya Nabi Aap Hai Abroo Vey Chaman
6. Ya Nabi Aap Hai Khuld Ka Baankpan
7. Ya Nabi Aap Shahe Zamino Zaman
8. Aap Ka Do Jahan Mein Nizam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

9. Jisme Athar Ne Paai Hai Aisi Mahek
10. Chehrae Paak Ne Paai Aisi Chamak
11. Jis Ne Dekhi Khuda Ki Qasam Ik Jhalak
12. Ban Gaya Aap Ka Woh Ghulam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

13. Ya Nabi Aap Ka Kya Hi Ejaz Hai
14. Har Ada Se Ayan Shaane Ejaz Hai
15. Aap Par Munkashif Rab Ka Har Raaz Hai
16. Aap Ki Baat Rab Ka Qalam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

17. Aap Ka Faiz Hai Har Nabi Aur Wali
18. Aur Siddique-o-farooque-o-usman, Ali
19. Aap Ke Naam Se Har Musibat Tali
20. Aap Ka Hi Hai Uncha Maqam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

21. Jibraeeley Amin Ne Nabi Se Kaha
22. Ya Nabi Sidratul Muntaha Aa Gaya
23. Mere Parwaaz Ki Hai Yehi Intaha
24. Aagey Jana Nahin Mera Kaam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

25. Aagey Rafraf Mila Woh Bhi Kuch Dur Tak
26. Phir The Tanha Woh Noorun Ala Noor Tak
27. Koi Ghilman Nahin Aur Koi Hoor Tak
28. La Makaa’n Mein Huey Shaadkaam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

29. Kya Bataun Khuda Ne Unhen Kya Diya
30. Apni Ummat Ki Bakhshish Ka Wa’dah Liya
31. Apni Ummat Na Bhuley Wahan Bhi Shahaha
32. Yaad Aaein Wahan Bhi Ghulam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

33. Hum Ko Siddique-e Akbar Ka Sadqa Miley
34. Hum Ko Farooque-e Athar Ka Sadqa Miley
35. Hum Ko Usman-o-haidar Ka Sadqa Miley
36. Bhar Dey Jholi Ko Khayrul Anam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

37. Qabr Mein Aap Jab Aaein Ya Mustafa
38. Iltija Aap Se Hai Habibe Khuda
39. Yehi Hum Asiyon Ki Hai Subho Masha
40. Dast Basta Karein Hum Qiyam

Hai Labon Par Duroodo Salaam
Hai Labon Par Duroodo Salaam

Meaning(s):
Line 1: Behr = Samundar
Line 1: Bar = Zamin
Line 6: Khuld = Jannat
Line 6: Baankpan = Hasin
Line 9: Athar = Paak Jism
Line 13: Ejaz = Martaba, Rutba
Line 14: Ayan Shaane Ejaz Hai = Zaahir Hoti Hai Aap Ki Shaan
Line 15: Munkashif = Kashf Aap Ke Upar Zaahir Hona
Line 25: Rafraf = Animal Faster Than Burraq
Line 36: Khayrul Anam = Goodness; Virtuous One
Line 39: Asiyon = Gunehgaar
Line 40: Dast Basta = Hath Bandh Kar Kharey Hona

Posted in Lyrics

Balaghal Ula Bi Kamalihi- Lyrics

Balaghal Ula Bi Kamalihi – Kashafad Duja Bi Jamalihi
Hasunat Jameeu Khisalihi – Sallo Alaihi Wa aalihi

Balaghal Ula Bi Kamalihi – Kashafad Duja Bi Jamalihi
Hasunat Jameeu Khisalihi – Sallo Alaihi Wa aalihi

Na Kahin Se Door Hai Manzilen – Na Koi Kareeb Ki Baat Hai
Jisse Chahe Usko Nawaz De – Ye Dare Habeeb Ki Baat Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Jisse Chaha Darpe Bulaliya – Jisse Chaha Apna Banaliya
Ye Bade Karam Ki Hai Faizle – Ye Bade Naseeb Ki Baat Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Woh Kuhdha Nahin Ba Kuhdha Nahin – Woh Magar Khuda Se Judha Nahin
Woh Hai Kiya Magar Woh Hai Kiya Nahin – Ye Muhib Habeeb Ki Baat Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Wo Habeebe Rabbe Kareem Hai – Wo Rauf Hai Wo Raheem Hai
Unhen Fikr Hai Meri Aap Ki – Unhen Taha Tha Koi Aur Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Main Bahak Sakoon Yeh Majaal Kiya – Mera Rahmnuma Koi Aur Hain
Mujhe Khoobu Jaan Ne Manzile – Ye Sh Koi Aur Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Jo Thumhari Jali Se Muttasil – Hai Tho Thum Ke Picche Khajil Khajil
Nahi Main Nahin Woh Marize Dil – Na Mere Siwa Koi Aur Hua
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Meri Iltija Hai Yeh Dostho – Kabhi Thum Jo Soove Haram Chalo
Tho Banaake Sarko Qadam Chalo – Ke Yeh Raastha Koi Aur Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Hai Tujhe Khabar Shahe – Meri Wajhe Raahathe Qalbo Jaan
Na Tere Siwa Koi Aur Tha – Na Tere Siwa Koi Aur Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Ye Ghuman Tha Kahin Saal Se – Ya Yaqeen Hai Kahin Roz Se
Mere Dil Se Ghumbade Sabz Ka – Yeh Mamula Koi Aur Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Wo Habeebe Rabbe Kareem Hai – Wo Rauf Hai Wo Raheem Hai
Unhen Fikr Hai Meri Aap Ki – Unhen Taha Tha Koi Aur Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Main Tho Door Arze Haram Se Tha – Wo Hi Khulde Gosh Haseen Sada
Hai Isi Men Majide Be Nawaz – Ke Ye Kaafila Koi Aur Hai
Balaghal Ula Bi Kamalihi

Posted in Lyrics

Apne Dar Pe Bula Lijiye- Lyrics

Apne Dar Pay Bulaa LeeJeeyay, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi,
Ham Ko apnaa banaa LeeJeeyay, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Aarazoo bass yay seenay may hay, arz-e-taybah may madfan millay,
Mujhko do gazz zameen deejeeyay, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Lab pay hay yay, meray dam ba dam, mera niklay madeenay may dam,
Karam itna zara keejeeyay, ya nabi ya nabi ya nabi.

Sabz gumbad kay saa-ay talay, teri rahmat ka saaya millay,
Meri kismet jagaa deejeeyay, ya nabi ya nabi ya nabi.

Mujhko Mehshar may shaah-e-zaman, ho ataa saaya ay panjtan,
Poori yay iltija keejeeyay ya nabi ya nabi.

Aasi mohsin ki hay yay sadaa, maaf keejay meri har khata,
Mujhko lillaah nibaa leejeeyay, ya nabi ya nabi ya nabi

Apne Dar Pay Bulaa LeeJeeyay, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi,
Ham Ko apnaa banaa Bulaa LeeJeeyay, Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi.

Posted in Lyrics

Aaey Hein Sarkaar e Do Aalam Marhaba Marhaba Bolo Marhaba- Lyrics

Aaey Hein Sarkaar e Do Aalam Marhaba Marhaba Bolo Marhaba
Barsay Hein Anwaar Chama Cham Marhaba Marhaba Bolo Marhaba

Kaunain Jagmagaaey Mahboob Rab Kay Aaey
Sad Marhaba Ka Naaraa Har Ik Lagaa Rahaa Hay

Arzo Falaq Sajay Hein Masroor Hein Khudaaey
Kaafoor Ho Gayeh Hum Milad e Mustufaa Hay

Ghunchay Khilay Dilon Kay Faslay Bahaar Aaey
Hum Par Karam Khudaa Ka Kya Khoob Ho Gayaa Hay

Barsaat Ho Rahey Hein Chaaro Taraf Karam Key
Soyaa Huwa Muqaddar Bhaydaar Ho Chukaa Hay

Sar Sabz Parchamo Say Ronaq Huwey Doobaaraa
Pur Kaif Hein Manaazir Har Cheez Khush Numaa Hay

Aalam Huway Munawar Sham e Haram Hay Roshan
Ghirthey Rahey Jahaa Bhey Phayley Wahaa Ziyaa Hay

Zanjeer Zulmato Key Hein Choor Ho Gayee Ab
Hein Aaj Pur Musaraf Jo Bhey Sitam Zadaa Hay

MEHERAAN SHEIKH Un Par Bhayjo Durood Har Dam
Jin Par Durood Har Dam Khud Bhayjthaa Khudaa Hay

Posted in Lyrics

Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein- Lyrics

Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein

Bas Issi Baat Say Ghar Mein Meri Rahmat Hogi
Ik Tera Naam Waseela He Mera
Ranj O Gham Mey Bhi Iss Naam Sey Rahat Hogi

Kabhi Yassin Kabhi Toha Kabhi Walail Aya
Aray Jis Ki Kasmein Mera Rab Khata Hai
Kitni Dilkash Meray Mehboob Ki Soorat Hogi

Ye Suna Hey Kay Bahot Ghor Andheri Hogi
Qabar Ka Khowf Na Rakna Ey Dil
Waha Sarkar E Madina Ki Ziarat Hogi

Unko Mukhtar Banaya Hey Merey Mola Ney
Khuld Mein Bas Wahi Ja Sakta Hein
Jisko Hasnain Kay Baba Ki Ijazat Hogi

Unki Chokat Pey Parey He to Bari Moj Mein Hey
Lot Kay Ayengey Jab Us Dar Sey
Merey Dil Tu Hi Bata Kya Teri Halat Hogi

Hashr Ka Din Bhi Ajab Deykna Vala Hoga
Zulf Lehra Key Wo Jab Ayengey
Phir Qiyamat Mein Bhi Ik Aur Qiayamat Hogi

Rashk Sey Door Karey Deyktey Hogay Zaahid
Jab Sare Hashr Gunahgaro Pey
Merey Aaqa Ka Karam Hoga Inayat Hogi

Kahi Ta Ha Kahi Yaseen Kahi Washams Aaya
Jiski Qasmay Mera Rab Kaata Hey
Kitni Dil Kash Merey Mehboob Ki Surat Hogi

Do Jahaan Mein Usey Kon Pana Deyga
Hoga Ruswa Sare Hashr Jise
Syeda Zahra Kay Bach Sey Adawat Hogi

Mayray Sarkaar Bulaa Ain Gay, Un Ki Chokat Pay
Wo Nazaara Phir May Daykoon Ga,
Daykh E Kar Gumbad E Khazra, Mayri Ulfat Hogi

Mera Daman to Gunaho Sey Bhara Hey ILTAF
Ik Sahara Hey Kay Mein Unka Hoon
Issi Nisbat Sey Sar-e-hashr Shifa-at Hogi

Posted in Lyrics

Page 5 of 512345

Email Subscription

Get website updates by email. Fill in the form below with your email address:

Message

Pegham Hazrat Sakhi Sultan Baba Jani Sarkar Allah Walay

Ziker-e-Allah

Mehfil Melad Mustafa S.A.W

Gallery

hazrat-baba-farid-5 image-dubbed-the-old-well-of-zamzam mehfil-pictures-8 picture12 peacebeuponhim_naqsh longitudinal-section-with-cross-sections-at-various-levels-in-the-well-of-zamzam rgh1259647843l 005 h-7 opt1259647875s