Alwida Alwida Alvida Hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Dil teray aanay say motbar thay,
Noor mein dubay shaam o sehar they.
Teray anay say dil ro raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramazan bass alwida hai.
Sehri iftar qir’at tarawi,
Aur azaan e namazein o tasbeeh.
Yeh saman noori tujh say mila hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mahe Ramadan bass alwida hai.
Rehmatoon ka tu pegham laya,
barkatoon ka tu inaam laya.
Rutba aala o afzal tera hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramadhan bas alwida hai.
Jaam rehmat kay tunay pilaye,
Gul muradoon kay tuney khilaye.
Tu juda hum say ab ho raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramdhan bas alwida hai.
Humko baykal tu paye ga kab tak,
Gar rahe zinda aglay baras tak.
Phir milein gay jo huqmay khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramadhaan bass alwida hai.
Chal diya hai tu jo Rab ki janib,
Ahl e Imaan kay purnam hain Qalib.
Qalb e Ishrat bhi gham say bhara hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramazaan bass alwida hai.
Humko bekal tu payega tab tak
Gar rahay zinda agle baras tak.
Phir milengay jo huqm e Khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramzan bas alwida hai.
Print This Post




Bohat Achi Information is website per. Specially Honourable Hazrat Baba Jani Salrkar Karamatoo walay key pics and dawatey haq
Reply
mashallah bohat achi naat hein, specially for alwida ramzan kay hawalay say. BJS Lover
Reply