noori mehfil per chadar tani noor ki…noor phela hua aaj ki raat hai
chandni mein hain doobe hue do jahan…kaun jalwa numa aaj ki raat hai
farsh par dhoom hai arsh par dhoom hai
badnaseebi hai us ki jo mehroom hai
phir mile gi ye shab kis ko maaloom hai
aam lutf-e-khuda aaj ki raat hai
abr-e-rehmat hain mehfil pe chaee huwe
assman se malaik hain aaye huwe
khud Muhammad hain tashreef lai huwe
kaisi ronaq fizaan aaj ki raat hai
khud muhammad hain tashreef lai huwe
kis qadar jaan fizan aaj ki raat hai
khoub hone do ashkoon ki barsat ko…
do salami Muhammad ki barat ko…
chum lo chum lo aaj ki raat ko
shab qadar ki gumaan aaj ki raat hai
mang lo mang lo chashm-e-tar maang lo…
dard-e-dil aur husn-e- nazar mang lo..
kamli wali ki nadri mein ghar mang lo
mangne ka mazaa aaj ki raat hai
mominoon aaj ganj-e-saqa loot lo..
loot lo ye mareezoon shifa loot lo…
aseeyoun rehmat-e-mustafa loot lo
bab-e-rehmat khula aaj ki raat hai
waqt lai khuda sab madine chalein
loutnein rehmatoon ke khazeene chalein
sab ki manzil ki janib safeene chalein
meri sa’eim dua aaj ki raat hai…
Print This Post



