Tag Archive | "Shab E Qadr"

Ramadan Hai Allah Ki Qurbat Ka Mahina Lyrics


Ramzan Hai Allah ki qurbat ka mahina
Jismani o rohani ibadat ka mahina.

Ramzan, Ramzan, Ramadan, Ramdan, Ramdhan

Ramzan hai Islam ki azmat ki nishani
Ramzan hai Allah ki qurbat ki nishani
Rozay ka silah deta hai khud Khaliq e Akbar
Sa’im kay liye roza hai jannat ki nishani

Ramadan Hai Allah ki qurbat ka mahena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.

Ho jata hai Shitan bhi paband e salasil
Hai jurm o khata say yeh bara’at ki nishani
Ik khas sila milta hai har achay amal ka
Yeh mah hai Rehman ki rehmat ki nishani.

Ramadan Hai Allah ki qurbat ka maheena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.

Ik raat kay hai barah mahinoon say bhi afzal
Yani hai Shab e Qadr bhi azmat ki nishani
Ho jati hai paida dil e Muslim mein akhuwat
Ramzan to hai mehr o muhabbat ki nishani.

Ramzan Hai Allah ki qurbat ka maheena
Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.

Posted in LyricsComments (1)

Email Subscription

Get website updates by email. Fill in the form below with your email address:

Message

Pegham Hazrat Sakhi Sultan Baba Jani Sarkar Allah Walay

Ziker-e-Allah

Mehfil Melad Mustafa S.A.W

Gallery

01-abu-bakar-siddiq-ra_0016 alquran16 Main Gate of the Prophet's Mosque Fahad bin Abdul Aziz 9 klz1259647892s rgh1259648326p dsc_1140 bfi1259647904r opt1259647875s bwy1259647899h